For all those away from home…
Shehr ki roshni jb ankhon ko chubh rhi thi, Wahi dil ke ek kone main bujhte hua diye jaise joojhti thi ghar ki yaad. Wah sehmi si aas Ek aise fariyad Jiska wajood na mil payega shehr ke andhere main, Wah maasomiyat, wah khamoshi, Har ek dastak main thi ghar ki yaad. Wah anjani sadkon par jb hum rasta khojte the, Pukarti thi ghar ki yaad. Wo khili khili se dhoop, wo jade ki raat, Wahi bas apni thi ghar ki yaad. Wah timtimata diya ladta hai is roshni se, Kbhi na khoyegi mere ghar ki yaad…… Raah ka saathi humsafar ban jata hai, Band aankhon ka darwaza khul jata hai.. Fir bhi dil ki khidkiyon se dhoondegi wo pehchan, Mere ghar ki yaad, Mere ghar ki yaad.
Aishwarya.
So deep and true…ghar ki yaad aa gai…😥… very well written…..keep up the good work😍
LikeLiked by 1 person
Sublime! ❤️
LikeLiked by 1 person
So true and beautifully described. Loved it yaar. 🙂
LikeLiked by 1 person
बहुत खूब
LikeLiked by 1 person